Mehnat karo , Kismat par baato ko na Daalo

in hardwork •  2 years ago 

Jab hum kisi kam ko karte karte usme nakam hojate he to hum apni kismat ko dosh dena shuru kardete he.

Bohot se log apni kismat ke bare me soch kar mehnat hi nahi karte.
Ek gareeb agar , gareebi ko apni kismat samajh kar mehnat na kre to ye bohot galat bat he.

images - 2021-02-18T141737.425.jpeg

Source

Ap mehnat karo fir agar nakam bhi hojao to apko dil se sukook to rahega ki hamne koshish to ki.
ye kabhi mat sochna ki me nhi karsakta , hamesha khudse kaha karo ki me ye kar sakta hu.

kabhi zindagi me haar nahi maana karo , mehnat se cheezein haasil karna seekho kyuki insan apni kismat khud badal sakta he agar vo use badalne jitni mehnat kare.

Koshish karne waalo ki haar nahi hoti , meri maa ne mujhe ye bat sikhayi thi.

Apne kamiyo se larna seekho or fir zindagi me jaha bhi jaoge , sukoon sath rhega

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!