Railway food business

in r2cornell •  last year 

Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge.
Aajka mera vishay hai railway me hone wala khadya vyavsaay yaneki food business. Aksar ham lambi yatra karne ke liye rail 🚈 ka chunav karte hai, kyuki rail yatra me ham so sakte, bait sakte, kha sakte aur shauchalay bhi ja sakte.
20231022_174923.jpg

20231022_174931.jpg

Hame lambe safar ke douraan boriyat to hoti hi hai. Aur boriyat door karne ke liye ham mobile ka bhi jyada upyog nhi kar sakte kyu ki network ka bhi masla hota hai. Phir idhar udhar dekhte dekhte hamar dhyan aakarshit karte hai yeh rail me ghomne wale bhel, chai,chana masala,vada paav,idli wada aadi bechne wale loog. Phir hamara mann ker jata hai ise khane ka. Chaliye aapmese kuch log nhi khate ho per kuch log khate hai.

Chaliyee jaante hai iske peeche ka itihaas meri drushti se. Jo maine anubhav kiya hai.

Kuch saal pahele tak mujhe rail me chejein khareed ka khana bahot pasand tha. Mai janese pahele hi utsahit rehti thi bhel khaneke liye kyunki mujhe rail me milne wali bhel behad pasand thi waise abhi bhi hai per ab mai khati nhi. Khair.........
Pahele ham bas 3 ghante ka safar karte thy wo bhi saal me do martaba,diwali aur garmi ki chuttiyon me. Isi karan utsukta charam seema per rehti thi rail me baithne ki........

Per ab maine 12-12 ghante baithkar rail yatra ki hai to maine in sab beechne walon ka badi sukshamta se nirikshan kiya.

Mera nirikshan mai aapko saralta se batati hu:-
Ye log rail ke darwaje se chadte hai aur wahi per apni tokri rakh dete hai. Aapsabko pata hi hai rail ke darwaje per hi washroom aur washbasin hote hai. Log wash basin me haath dhote hai aur apne haar jhatakte hai usse unke haathon ko laga hua paani udkar rakhi hui tokriyon per girta hai.

Doosri baat kuch log try me rakh kar vadapaav bechte hain . Jaisa hi train se utar te hai woh try station per banaye gaye paani ke points ke upar rakhte hai jaha log aakar apne haath pair mooh dhote hain.
20231022_140053.jpg

20231022_155742.jpg

20231029_121454.jpg

Insab me her kisiki apni apni alag raay ho sakti hai bas yeh mera najariya hai.
Yeh hogaya sikke ka ek pahelu ab dosri pahelu ki baat:-
Per yeh kaam bada jokhim bhara hai ke bade bade saaman ko khud ke upar laadke poori train me ghoom ghoom ker bechna aur kuch paise kamana. Unlogo ki bhi majburi hai jiske chalte woh apna pet bharne ke liye yeh kaam karte hai.
Bada sa paani ke bootalon wala dibba sir per laad kar chalti hui train me chdhna jaan ki baji lagane se kam nhi hai. Deen b deen loksankhya badhte ja rahi hai uski wajah se berojgari bad rahi hai. Loog jo mile woh kaam ker ke paisa kamane ki koshish kar rahe hain. Bahot saare aise haadse ho chuke hai chalti train me chadhne se girne ke. Jisse kai food business karne wale logo ne apne haath, pair aur kabhi to jaan bhi ja chuki hai.
Per woh savdhani aur swacchta se yeh kaam karenge to safalta unke jarur haath lagegi. Jaise train ke rukne per train me chadhna, food bechte samay haathon me glabs ka istemaal karna, bechne ko laaye gaye saaman ke upar plastic rap karna aadi jaise cheejon se jyada se jyada log unse food kharidenge. Unki aamdanibhi isse badh jayegi.
20231022_192046.jpg
Train me khana bechna aasan nhi hai. yeh loog chalti train me chadte hai jisse ke inke saath durghatna hone ki sambhavana bani rehti hai. news me kai basr aise hadeson ke baare me hamne suna hai.

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!