Hi blurt friends,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab maje me honge.
Aaj ka blog na hi votes ke liye hai, na hi kisi contest ke liye hai bas aaj ka blog koi andekhe anjane chehron ke liye hai jo kab mere dost ban gaye pata hi nhi chala. Jaise hi notification me in
logon ke naam dekhti hu mere man khush se phoola nahi samata.
Woh log hai,@shahira.art,@madarch ,@sanzi13 aur @mariyamsiddiqui.
Blurt ke shuruwati dino me mai bahot nirash ho gai thi, kyunki mujhe vote hi nhi aate thy, blurt booster to aisi unchai ban gaya tha mere liye jaise Himalay parvat. Per ye log mere sahayata ke liye khade hue thy.
Ab aati hai baat mere teachers ki woh hai @imransoudagar aur @shahira.art. Allah ne in logon ke andar itna sabar diya hai jiski koi hadd nhi.
Mere her sawal ka jawab ye dono bade hi acchese dete hain. Mujhe to lagta hai maine jitna in dono ka dimag kharab kiya hai shayad hi kisine kiya ho, per waqai me dono bando me sabar hai. Pareshaniyon ko hal karneki takat hai. Aaj tak kabhi aisa nhi hua ke maine kuch pocha aur uska reply na aaya ho.
Mujhe yaad hai shuruwat me mujhe kuch problem aarahe thy tab mujhe shahira ke paas tab samay nhi tha tab bhi shahira ne mujhe message karke bola aap @sanzi13 ko pocho mai busy ho, phir mujhe ek aur naya teacher milgaya wah hai @sanzi13.
Bandi ye bhi badi sahi hai. Is ladki se to mere baat questions se hi shuru hui. Itna busy rehty per bhi inhone bhi mujhe help ki cheejon ko samjhane me.
Aur jo hai@madarch ye aapke post per acche acche comments kar ko aapko santvana dete hai, ab to hamari vast what's app per bhi ho rahi hai.Inhone bhi mujhe bataya ke aap sabar kari acche votes aayenge.
Ab baat aati hai @mariyamsiddiqui ki. Inhone bhi mujhe support kiya upvote kiya. Tag ke baare me bataya, delegation ke baare me bataya.Mere aasha nirasha wale blog per mujhe message kiya. Meri himmat badhai.
Ham chalte gaye aur kaarwan badhta gaya. Alhamdulillah abhi tak is safar me mujhe ek bhi galat insaan nhi mila. Paheli baar aisa hua hai ke mujhe mere safar me koi bhi galat insaan nhi mila, warna mera paala hamesha ajeeb logon se hi pada hai. Lagta hai is baar Allah mujhe acche logon se hi milana chahata ho.
To bas yahi kehna chahati hu mai..........
Kehna to bahot hai per bhai subah ka samay hai kaam kon karega😜
Jab insan khud acha ho to us ka pala apne jaese logo se pad hi jata he.. hum sab ne aap ko bus support Kiya he apne apne tariqon se par aap ne badi hi himmat dikhai or itni nirashaon k bad bhi lagi Rahi. Hum sab ko upvotes milna or is platform pe jagah bana pana itni badi bat nahi thi jitni ki aap ki safalta is platform par he. Kyon ke hum sab English jo k universal bhasha he us ke sahare age badh rahe the, par aap ne shuru se apni matra bhasha se apna Safar shuru kiya or us par lagi Rahi. Me ne pehle bhi ye kaha he ap se or sab se, or ab bhi yahi kahungi k ap ne na ke sirf apne liye is platform pe jagah banai he par apne jaese ane valon k liye jo apne matra bhashaon me apni bhavnaon ka izhar karna cahte hen. Aap me hamesha se vo bat or cah thi jis k natije se aap aaj bohot acha kar rahin he.
Dekhiye aap ki likhai ka asar mujh pe bhi aesa ho raha k me bhi Hindi me likhne ki koshish kar Rahi hun. Aap bohot acha likhti hen, aese hi likhti rahiye or hum se Judi rahiye. Or is Hindi k madhyam ko age badate rahiye. Bohot Subh kamnaen.
Dhanywaad, bahen. Mai jis tarah Hindi likh sakti hu us tarah shayad English nhi likh pati. Kuch din baad mujhe blurt ki ruchi kam hone lagti, kyu ki ham hamari bhavnayein jis tarah matrabhasha me yekta kar sakte hai, us tarsh koi doosri bhasha me nhi kar sakte. Isiliye maine Hindi ka chunaav kiya hai.aur aap paancho ne mera support kiya hai.
Thank you @khanarshiya
Apki apni mehnat pehle hai, bad me hum sab ka sath..
Isi tarah ek dusre ki madad kar k hum agey badh sakte hain.. Insaan har chiz ko jitna share krta hai Allah usme utni hi barkat ata karta hai.. Specially knowledge to hum jitna share krte hain utna badhta hi rehta hai..
Shuruwati dino me @imransoudagar mere bhi teacher rah chuke hai. Shayad Aaj bhi he ...