Wazu krne ki fazilat.

in r2cornell •  3 years ago 

IMG-20210521-WA0002.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Wazu krne ki fazilat.

Wazu hmesha achhi tarah krna chahiye, ye nhi ki jaldi jaldi kuch aaza khushak hi reh jaye, kyuki ek bal ke brabr bhi jagh sukhi rehne se wazu nhi hota he.

Wazu mukammal krne ki ye fazilat he ki qayamat ke din ye tmam hisse noorani honge, or usi noor se hmare nabi S.A.W ke ummati pehchane jayenge.

Ek martaba Rasool Allah S.A.W ke sathiyon ne puchha ki ya Rasool Allah S.A.W maidan e qayamat me jaha sari duniya ke beshumar insan honge, aap apne ummatiyo ko kis tarah pehchan sakenge.

Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya ki mere ummatiyo ki pehchan ye hogi ki un ke hath paon wazu ke asr se noorani honge.

Aap S.A.W ne farmaya dekho: agr kisi shakhs ke bahut se ghore ho jin ke hath paon safed ho, agr vo lakho arbo kale ghoron me khare kr diye jaye to kya vo shakhs apne ghoron ko asani se pehchan skega.

Bs isi tarah meri ummat ke aadmi maidan e qayamat me is tarah aayenge ki un ke hath paon raushan honge.

Un ke naamaye aamal dahne hatho me honge, or un ke bal bache un ke sath honge.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!
Sort Order:  

Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.

Congratulations, your post has been curated by @r2cornell-curate. Also, find us on Discord

Manually curated by @abiga554

logo3 Discord.png

Felicitaciones, su publication ha sido votado por @r2cornell. También, encuéntranos en Discord