Ramzan ke rozo ki fazilat.

in r2cornell •  3 years ago 

IMG-20210415-WA0000.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Ramzan ke rozo ki fazilat.

Ramazan sharif ke rozo ka bahut bada swab he, or bahut si fazilate hadees me aayi he.

Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya he ki jo shakhs khas Allah tala ki rzamndi ke liye ramazan sharif ke roze rkhe to uske pichhle gunah muaf ho jayenge.

Dusri hadees me he ki Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya ki roza dar ke mu ki bhabk Allah taala ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi behtr he.

Ek or hadees ka mafhum he ki Allah taala farmata he ki roza khas mere liye he, or me khud uski jza (bdla) dunga.

Roza hr muslman aqlmnd, baligh, mrd, aurat pr frz he.

Agr na baligh roza rkhe aadt lgegi, isi trh nmaz bhi sat sal ki umr se aadt dalne ke liye prhni chahiye.

Sfr me yani musafir ko sfr ke halt me roza nhi rkhna chahiye, lekin agr sfr me koi dikkat na ho to roza rkhna afzal he.

Bimari me agr roza rkhne ki takt na ho ya bimari brh jane ka andesha ho to roza na rkhe.

Roze se is qdr bhuk pyas ka glba ho ki jaan nikl jane ka andesha ho jaye to roza tor de.

Subah sadik se gurub aaftab yani suraj dubne tk niyat ke sath khane peene or nafsani khwahishat puri krne ko chor dene ka nam roza he.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!
Sort Order:  

Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.