Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Masjid e nabwi me jharu dene wali khatoon.
Hazrat Abu Huraira R.A ek waqiya bayan farmate he ki Hazrat Mohammad S.A.W ke zamane me ek khatoon thi.
Jo kbhi kbhi masjid e nabwi me aa kr jharu diya krti thi, or vo khatoon siyah faam the, lekin vo Khatoon chand roz tk ap ko nazar nhi aayi.
Or masjid e nabwi ki jharu or safayi ke liye na aaye to Nabi kareem S.A.W ne us khatoon ke bare me sahaba kram R.A se puchha ki kafi din se vo khatoon nazar nhi aa rhi he, or masjid e nabwi me jharu lgane nhi aa rhi he.
Aap is se andaza lgaye ki Hazrat Mohammad S.A.W ko ek ek fard ke sath kis darje ka talluq tha.
Vo khatoon aati jharu lga kr chli jati.
Lekin Hazrat Mohammad S.A.W ke hafiza or yad dasht me vo mehfuz thi, is liye sahaba kram R.A se ap ne puchha ki kyu nhi aayi, kya bat he?
Sahaba kram R.A ne arz kya ! kya Rasool Allah ! un ka to inteqal hogya.
Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya ki un ke inteqal ke bare me ap ne mujhe btaya tk nhi, to sahaba ne zabaan kuch na kaha, lekin andaz esa ikhteyar farmaya jis ss ye batana maqsud ho ki Huzur!
Vo to ek mamooli qism ki khatoon thi, agr inteqal hogya to itni badi ahm bat nhi thi ki ap jesi hasti ko us ke bare me btaya jata.
To Hazrat Mohammad S.A.W ne farmaya ki mujhe batao ki us ki qabr kahan he?
Kis jagh un ki dafan kya he?
Ap sahaba kram ko sath le kr us ki qabr pr tashreef le gye, or ja kr un ki qabr pr nmaz e janaza prhi.
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.