Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Alwida maahe Ramazan.
Aaj Ramazan ka aakhri roza he, ye roze itni jldi guzr gye, pta bhi nhi chala.
Pichhle ramazan ki trh is ramazan me bhi lockdown he, eid bhi ese guzarni pregi, lekin Allah taala ka shukr he ki iss ramazan me ammi or bhai behn sath the, bs abbu ki kmi thi, jo hmesha rehti he kyuki vo Dubai me kam he.
Vrna pichhli bar me or meri behn akele ramazan me ghr me the, lockdown ki wajh se ammi gaon me reh gyi thi, or eid ke kuch din pehle aayi thi.
Allah taala ka shukr he ki usne hme roza rkhne ki salahiyat bakhshi, or shab e qadr me jagne ki taqt di.
Bs mere abbu aane wale the, aaj pr vo nhi aa ske inhi bimariyo ki wajh se, pr me roz dua krti hu, ki bimari jald se jald khatam ho, or sb aram se reh ske.
Abbu is eid me sath rehte, ye sb hm ne socha tha, kyuki kayi salo se hm ne abbu ke sath nhi mnayi he, un ke liye kapre bhi le liye the, koi nhi ab jb bhi aayenge pehn lenge, Insha Allah jldi aajayen yhi dua he.
Allah taala hm sb ko is bimaari bachaye, or hmari umr me brkat de ki hm hr ramazan ke roze rkhe.
Aameen.
Shukriya..
GREAT POST
Thank you 😊
Happy Eid-e-Fetr
May your fasts be accepted.
Aameen
Congratulations, your post has been upvoted by @Scilwa, which is the curating account for @r2cornell's Discord Community.
Our Discord Server and community is located at: Discord