Jane hum Kahan ke he? Na yahan ke he na vahan ke he, Jane hum Kahan ke he.
Pehchante to Hume sab he par koi janta nahi k hum Kahan ke hen, hamari shanaqt hum se puche yahan ke he ya vahan ke he, Jane hum Kahan ke he.
Kya isi din k liye Kiya tha humne ye taveel safar, ke log hum se puche k hum Kahan k he, yahan ke he ya vahan ke he, Jane hum Kahan ke he.
Jahan bhi jaoge, jab apni pehchan banaoge to sab ko kya bataoge ke tum Kahan ke ho? yahan ke ho ya vahan ke ho, Jane tum Kahan ke ho.
Apna Desh jo choda to sabhi ne aesa mun Moda ke apne bhi hum se puche k ab tum Kahan k ho? yahan ke ho ya vahan ke ho, Jane ab tum Kahan ke ho.
Pardes ko apna to liya, apna sansar basa to liya phir bhi ye duniya hum se puche aap yahan ke ho ya vahan ke ho, Jane aap Kahan ke ho.
Jab bache hue hum budhe hue, jab Hume dafnaya Gaya to mitti bhi hum se puche ke tum Kahan ke ho? yahan ke ho ya vahan ke ho, akhir tum Kahan ke ho.
Madeeha Arif (madarchs)