Rozi Roti

in hindi •  last year 

IMG_20230912_234355.jpg
https://pngtree.com/freepng/jobless-man-feeling-sad-and-depressed--continuous-line-art-drawing-vector-illustration_4011396.html

Naukri ek bohot badi aas he, kyon k hum sub ko kamai ki pyas he

Har din ki mashakhat ek chubti bans he, ye un se pucho jinhe naukri ki talash he

Har kisi ko kamai nahi ras he, kyon k us k liye vo hota nahi apno k pas he

Har mazdoor k liye ye jaese nashe ki nas he. Paese k liye lena jo padta unhe gin gin k jo sans he

Apni shakhsiyat ko mita k Banna padta ek das he, tab ja k hasil ye noton ki hari ghans he

Mehnat ki duniya me logo ka pesha hi un ka libas he, jis k bina in k bhavishya me bus upvas he.

Kamane vala sach me hota bohot khas he. Varna koun is duniya me hona chata sarvanash he.

Har koi is duniya me khana chata mass he, par aksar unhe hona padta udas he.

Roti kamana ek bohot bada prayas he, jis me hota nahi sab ka vikas he.

Madeeha Arif (madarchs)

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!
Sort Order:  
  ·  last year  ·  

Painfull feeling and thoughts written in words, story of every Indian..

Well said 👍

  ·  last year  ·  

True lines Portrayed in a beautiful way.. 👍