Dua ki Fazilat.

in dua •  4 years ago 

a03c203239ec7262d3cc761572483845.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Dua ki fazilat.

Dua ke mayene pukarne or bulane ke he, matlab ye he ki apni hajt ke liye Allah taala ko pukara jaye, ta ki vo us ki zarurat puri kre.

Allah taala dua krne walo se bahut khush hota he, dua krne wale ki dua qabul farmata he, or jo mangta he us ko deta he.

Magar ye sb usi waqt hoga jb ki vo dua ke aadab or shrayet ko dhyan me rkhte huye puri pabndi kre, vrna qabuliyat ki ummeed nhi rkhni chahiye.

Dua krne wala bimar ki tarah hota he.

Bimar agr tandursti chahta he to us ke liye dawa ke sath parhez krna or nuksan dene wali cheezo se bachna zaruri he.

Agr dawa krta rha or parhez na kiya to sehatyabi mushkil hojayegi.

Dua krne wala agr chahta he ki us ki dua qubool ho to chand cheezo pr aml krna zruri hoga.

  1. Pehli shart ye he ki iman ke sath hi sath ikhlas bhi zaruri he, sirf Allah taala hi ka khyal dil o dimag or zabaan pr ho.

Gher ka khyal bilkul na ho, kyuki bila ikhlas ke koi aml qubool nhi hota he.

  1. Dusri shart ye he ki dua krne wala jhut bolne, makar o fareb dene, shrab noshi, hasad takbbur, kina kapat, ghubat o chughli wagerah gunah krne se bachta rhe, kyuki ye sb gunah e kabira he.

Dua mangte waqt apne nek kamo ka wasta de.

Shukriya..

696e7926086a81a30a55bdca508b35a4.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!
Sort Order:  

Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.

Congratulations, your post has been curated by @r2cornell-curate. Also, find us on Discord

Manually curated by @abiga554

logo3 Discord.png

Felicitaciones, su publication ha sido votado por @r2cornell. También, encuéntranos en Discord