Zindagi! (Life)

in blurtpakistan •  10 months ago 

IMG20240112173457.jpg

Nakami insan ko naummid kar deti he or is ki ummiden bebus. Zindagi ek aesa dal dal he jis me hum Umar k sath dhanste chalejate Hain or hame andaza bhi nahi hota. Shayad Allah ne insan ko banaya hi qalaon k sath he isi liye shayad insan ki khwahishen or ummiden zindagi se kabhi mukammal hi nahi hopati. Mano jaese zindagi ka hasil hi lahasil hona he.

Insan ek aesa namuna he jo choti si choti bat ya harkat me bhi koi na koi ummid dhund leta he or khayalon ki duniya banaleta he. Cahe bat jo bhi ho vo apne matlab ka ishara is bat se nikal hi leta he jo vo chahta he ta k us se apne khayali pulao paka sake. Or jab vo khwahesh puri na ho to phir apni nakami ka dhol pit kar naummid hojata he.

Insan ko cahiye k vo sabr or tawakal k sath kam le or jab tak k koi chiz ki puri tour pe tasdeeq or wazahat na mile use khud par sawar na kare.

IMG20231203122743.jpg

IMG20231203122746.jpg

IMG20231203122931.jpg

IMG20231203123038.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!