Hi blurt family,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge.
Aapne mere bahot ssare blog me mere gaon ke baare me pada hi hoga. Shayad aap sonch rahe honge yeh to gaon ke baare me bahot baat karti hai.
Friends, mujhe mera gaon,mera gaon ka ghar, gaon ke loog,gaon ka tyohaar aadi........ aisi bahot saari cheejein bahot pasand hai.
Mai jsb bhi gaon jati hu tab tab prayatna karti hu ki khait ko ja saku. Jab bhi ham hamare khait jate hai tab khana banakar le jate hai bahotsaara aur uske saath murmure ka chiwada. Kabhi agar jaane wslon ki sankhya adhik ho to khana ham khait me hi banate hai chulhe pet bada maja aata hai. Khait me chulhe per banaya hua khana badahi majedaar banta hai.
Ham jab bhi khait jaate hai tab saath chai patti aur shakkar bina bhule lejate hain. Khait me steel ke glass me kali chai peene ka maja ekdum zabardast.
Baaki ham saara din idhar udhar ghoomte hai jo mousam hai uske anusaar jo fasal rehti hai use khate hai. Boili ka meetha paani peete hai, khait ki kaalii mitti se chehra dhote hain, paani me khoob bhigte hain.........
Bahot maja karte hain.............
Mai aap sab ke saath hamare khait ki kuch tasveerein saaza kar rahi hu aap bhi iska aanand lijiye.
Lovely! Mujhe gaon, gaon ka rehne sehen or khet bohot pasand he. Agar Mera bas chale to me apni chuttiyon k liye gaon Jana pasand karungi nake kisi seher ghumne. Mujhe vaese to aap k sare blogs pasnd he par aap jab bhi apne gaon k bare me dalte ho me use samay le kar Anand se mehsoos kar k maze le kar padti hun. Kash me bhi ye Anand le pati. Gaon k manzar or log bade khubsurat or khushgawar hote haen. Ye bat sehro Me nahi hoti.
In chuttiyon me aajao aap mere gaon. Milke maje kareng.