Hi blurt friends,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge.
Friends mere gaon me ek nadi behati hai, uska naam hai Godavari. Is nadi me bahot sare prakaar ke machliyan payi jati hai jaise maral,katla,chilapi aadi.........
Is nadi me khekde aur jhinge bhi milte hai.
Nadi me jab paani jyada hota hai tab panch se saat kilo tak bhi machli miljati hai.
Aapsabko to pata hi hai nadi ka paani meetha hota hai aur meethe paani me milne wali machli bahot hi majedaar hoti hai. Taalab ke machliyon se jyada majedaar hoti hai nadi ki machliyan.
Jis tarah ham subah subah taazi tarkari khareedte hain usi prakaar mere gaaon me subah aur shaam ke waqt taazi machliyan milti hai. Gavon ke machvaron ke ghar ki aurtein ek tokre me machliyan bhar ker sir per liye poore gaon me ghoom ghoom ker bechti hai.
Mai jsb bhi gaoon jati hu tab mere bacchon ko khelne ke liye yeh auratein kuch zinda machliyan deti hai. Un machliyon ko mere bacche paani me daalkar rakhte hain.saara din unke saath khelte hain. Aur in machliyon ke koi paise bhi nhi leti.
I just love fish.. Fish is my favorite food.. 🍲🍲
That too fresh fish is really more tastier..
🐠🐋🐟
We get to eat fresh fish in my inlaws village..
Bahot testy rehte lete hi banaye to pocho hi mat.mujhe bhi fish bahot padand hai. Mai beef,mutton nhi khati magar fish jarur khati hu.waise yaha kaha milte fish hamne yaha kabhi laaye hi nhi
After reading your post I'm craving for fish..🐠🐋🐟
😋🤤