Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab badhiya hognge.
Aaj ham ek tyohaar ki baat karenge wo hai gaon me manaya jane wala tyohaar bail pola.
Yeh tyohaar gaon ke kissan manate hain. Badi perni ke pahele yeh tyohaar manaya jata hai.
Is tyohaar ke din subah kisaan apne bailon ko nadi per nehlane lejate hain. Bailon ki acchi tarah safai kar unhe laya jata hai. Unhe tail pilaya jata hai. Kisaano ki patniyan ghar per pooran poli banati hai bailon ko khilane ke liye.
Dopaher ke samay se bailon ko sajane ki tayyari shuru ho jati hai. Kisaan apne apne pasand ke rango se bail ke sing ko rangte hain. Koi pholon se bhi sing ko sajate hain.
Ab aati hai kapdon ki baari. Kuch kisano ke paas bailon ko panenane aur sar par sajane ka saman hota hai woh unko usi se sajate hain. Bail ke jo kapda peet par sajaya jata hai use jhool kehte hain.
Jiske paas jhool nhi hoti woh log bail ke peet per apni pasand mutabik rangaya jata hai.
Balion ki pooja ki jati hai, unhe acchi acchi cheejeion khilayi jati hai. Is din unhe koi kaam nhi lagaya jata.
Sham ke samay poore gaon ke bail mandir ke saamne jama hote hai. Gaon ke bacche tulna karne me lag jate hai ki kiska bail acche se saja hai kisaan bhi edi choti ka joor laga dete hain bailon ko sajane mai. Gaon ke loog halgi shehnai bajate hai. Bada maja aata hai is tyohaar ke din.
Yeh tyohaar kisi dharm ya jati ka na hokar poore gaon ke kisaano ka hota hai