Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge.
Aapse baat karne mouka mujhe ab mil raha hai. Waise mere paas samay to tha per jaisa maine shirshak me kaha aaj thoda lazyness feel ho rahi thi. Kuch karneke liye mann nhi kar raha tha phir bhi daily wala kaam to karna hi padta hai. Bas subah se kuch kaam kar rahi thi aur kuch aaram ka rahi thi. Aisa jaise ek ghanta kaam kiya aur ek ghanta bistar pet lete rahe.
Aisa meresaath kabhi kabhi hota hai. Shayad aaplogon ke saath bhi kabhi kabhi hota hoga.
Kitni bhi susti mehsoos ho ek grahini ko khana to jarur banana padta hai. Mere saath bhi aisa hi hota hai. Kuch karneks mann kare ya na kare khana banana to padta hi hai. Jab bacche pathshaala se aate hain to jab susti wusti sab side me rakh kar unka pet bharneki chinta me sharir me achanak furti aajati hai aur kadam apne aap rasoi ghar ki oar badhne lagte hain.
kabhi kabhi itni susti mehsoos hoti hai ke kitna bhi kaam karneka mann na ho per pathshala se loute hue bacche khane me kya hai pochte hai to apne aap hi kadam rasoi ki oar badhne lagte hain
Mother duty is 1st
Wo to hai. Kuch bhi hojaye per yeh wali duty se muh nhi mood sakte
Being a mother is a full-time unpaid and unacknowledged job.