GINGER:-health benefits

in blurtlife •  last year 

Hi blurt family,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab mast honge, maje me honge.

Sardiyon ka mousam chal raha hai to sardi jukham aur khansi her dosre aadmi ko ho rahi hai. To ye sab dekhkar mere mastishk me adrak ka blog banane ka idea aaya. To chaliye chalte hai adrak ke fayde jaante hain:-
20231011_113157.jpg

Shahed me adrak ka ras milakar peene se khansi me rahat milti hai.
Chai me adrak baarik koot kar daalne se aur us chai ka seven karne se jukham me rahat milti hai aur gala bhi saaf hota hai.sir me dard mehsoos hoto adrak ki chai peene se rahat milti hai.
Wiral enfection se bachata hai.
Fungus aur bacterial enfection ke sankraman me adrak faydemand hota hai.

20231011_080104.jpg

20231011_080152.jpg

Mai jab bhi ghar adrak laati hu to uske chilke nhi fainkti. Adrak ke chilke ko acchi tarah se dhokar use sukha leti ho. Ek dibbe me jamakar ke rakhti hu. Jab bhi adrak ki chai peene ka mann kare tab agar adrak ghar me na ho to usi chilke chai me daalkar banaleti hu. Ekdum adrak jaisi khushboo wali chai banti hai.
20231213_220232.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!