Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab badhiya honge.
Jo loog kitchen me karte hain unhe pata hai ke khana banane me adrak lehsun ka pest kitna jaruri hota hai. Mujhe to lagta hai her recipe me hame adrak lehsun ki jarurat rehti hi hai.
Adrak lehsun chilna mujhe bahot mushkil kaam lagta hai uski saath saath napasandida bhi. Mujhe adrak - lehsun chilna badi boriyat aur mehnat bhara kaam lagta hai.
Jab adrak chilte hain tab haathon me jalan shuru hojati hai aur kabhi kabhi adrak chilte samay adrak ke ras ke chinte bhi aankh me ud jaate hai. Tab aankho me bhi jalan hone lagti hai. Ab lehsun ke to kya hi kehne, aasani se iske chilke hi nhi utarte.
Waise to lehsun ke chilke nikalne ki bahot saare tips hai per unme ke koi bhi tips mujhe pasand nhi kyunki un tips ka upyoog karne ke baad lehsun mujhe adhmara najar aata hai. Uski khushboo aur taajgi kab dikhne lagti hai.
Pahele to mai jab bhi mere mayke jaati tab wahinse adrak lehsun ka pest banwakar lati thi, per is baar mere dadi ki tabiyat kharab hone se maine mere mayke se adrak lehsun nhi laaya. Ab jab khud karna pad raha hai to halat kharab ho rahi hai.
Mai jo bhi mushkil kaam hote hai woh mayke se hi karwakar lati hu kyunki mai yeh kaam akele nhi kar paati.........
Poora ek saal chalni wali laal mirch ka powder bhi mai mere mayke se hi laati hu.
Gocht, kairi aur nimbu ka achaar bhi meri mummy mere liye banakar rakhti hai.
Jis din mai wapas aati hu us din mere mummy tarkari todkar uske packets bhi banakar deti hai ke jate hi bahot saara kaam mujhe na karna pade.
Tiffin to itna deti haike ke ham dodin kha sake,kyunki mujhe safar karne me tabiyat kharab hoti hai.
Mai ghar se itni door per jaisehi kitchen me jaati hu mujhe mere muumy ke haathon bana saman se unke paas hone ka ehsaas hota hai.
Maaon ki muhobat hoti hi anmol he. Vo jab tak hen hamen un ki khadar karni cahiye or dher sari muhobat bhi bator Leni chahiye. Allah aap ki ammi ko sehet de or un ka saya ap par hamesha bana rahe. Ameen
Very sweet of her. Pata nahi hum apne badon ki riwayaten apne bacho k liye chala bhi paenge ya nahi.
Mere mummy bahot jyada karte tarkari tood ke tak dete jaate hi bahot kaam rehte bolke alag alag salan banake dete aur bolte do din mat pakao ghar saaf safai karl lo ek ek packet salan ka nikaal ke khalo.daal,achaar,nimbu ka ras,papad, semiyan, sukhai hui dahi ki mirchi aur same ki phalli, ghee,aata,aisi bahot saari cheejein dete jo ki mai likh bhi na saku itna sab. Jaate waqt 1bag aur aate samay min 5bag rehte bade khalte bhar ke lana padta. Wajan hora bolke mere hus. Bahot gussa karte.@sanzi13 aur @madarch dono ke liye hai ye reply......
Aapdono ka hamedha comment aata mai jab bhi kuch real life se likhti hu.accha lagta padkar. Blurt ne mujhe acche anjane dost de diye.
Aameen..
Sach me mai bhi yehi sonchti hun aksar..!!
Jitna hmare parents hmare liye krte hain. Hum kar payenge ya nhi?
Adrak lehsan😫😖😣
Ready made mujhe pasand nhi ata or chhila mujh se jata nhi..
Bohot kathin kam hota hai, adrak chhilne par hath to bht jalte hain..
Isliye mai bhi ye kam ammi k Ghar hi karwakar lati hun..