Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, mast honge, badhiya honge, majeme honge.
Jeevan me utaar - chadhav,khushi - gam, pareshniyaan her kisi ke hoti hai, per in sabka pramaan kam jyada jarur hota hai. Kabhi kabhi lagta hai sab bahot bure hai, kabhi lagta hai ke sab bahot accha hai, kabhi aisa lagta hai ke kahin dur junglon me chali jao nadi ke kinare ghanto gujaru. Koi kaam ki chinta na ho, na kisi ki fikar bas apne hi dhun me badhti chali jao. Koi kya sonchega iski to fikar bilkul na ho. Na kisika dar.........
Pata nhi mai hi aisa sonchti hu ya aur bhi koi hai mujh jaisa jo mere jaisa sonchta hai........
Pata nhi mujhe samajh hi nhi aata kya karna chahiye.
Kabhi kabhi lagta hai mai kyu itni prawlambi ban chuki hu khudse ek rupya tak kama nhi paati, her cheej ke liye doosron per aas lagana padta hai.
Ghar se bahar nikalne ki tak mujhe doosron se permission leni padti hai. Samajh nhi aara mai ye kaisa jeevan ji rahi hu. Kya mai khush hu? ya phir khush hone ka nstak kar rahi hu?