Shikshak - Abhibhavak sabha

in blurtindia •  yesterday 

Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, majeme honge.

Kuch din pahele mere bete ke paathshala me shishak- abhibhavak sabha yani ke PTM hui. Unki paathshala me har pariksha ke baad PTM rakhi jati hai. Us hi PTM me bacchon ne kitne ank prapta k8ye yeh bataya jata hai.

Mai PTM me jab gai sabse pahele maine kaksha me likha hua falak dekha waha mere bete ka teesra kramaank likha gaya tha. Mai thoda nirash hui. Maine shikshak se kaha ek se do, do se teen kramank per aagaya mera beta. Paheli pAriksha me usne pratham, doosri pariksha me dwitiya aur tisri pariksha me tritiya sthan hasil kiya hai. Uski sthan neeche aate ja rahe hai. Aise kuch prashna maine kiye . Tab shikshak ne mujhe kaha mujhe anumati nhi hai per bhi mai aapko bacche ke uttar patraj batati hu taaki aap bhi dekhlo ki aapka baccha kaha galti kar raha hai. Maine uske saare uttar patrak dekhe uski Kannada aur English me galtiyan hui thi.

Maine soncha Kannada ki galtiyan shayad mere karan hui hogi kyunki mai use Kannada nhi pada paati. Baaki aane wali pariksha me aur bhi acche se padhai karaungi bacche ki.
20241214_121700.jpg

20241214_121703.jpg

20241214_121710.jpg


😚

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!