Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, badhiya honge.
Aaj mai aapko kal kya kya hua is baare me baat karungi. Kal mai, mere pati aur beti roja thy. Jabse Ramdaan shuru hua hai tabse iftaar me tali hui cheejein kha rahe hain. Maine kal soncha ke aaj kuch bhi tala hua aur bahar ka nhi khainge.
Bas shaam ke khane kuch accha ya phir Biryani bana lenge.
Iftaar me paani jyada peene se aur iftari khane se bhook hi nhi rehri isliye shaam ka khana bhi bach raha hai. Kai baar to bacche khana hi nhi kha rahe hain raat me. In sabhi karanwash maine iftari nhi bananeka soncha.
Mere pati rooj aste samay pochte hain kya lana hai iftaar ke liye, maine unhe bhi lane se mana kar diya. Khaneme Biryani bhi bana li. Per, iftaar ke pandrah minute pahele ek phone aaya aur mere pati neeche gaye. Upar aaye to unke haath me bahot saara saman tha, poocha to bole mere dost ne iftaari bheji hai. To mujhe hasi aayi maine soncha aaj bhi tali hui cheejein khana padegi. Alhamdulillah khana bahot accha tha, hamne roja rakha tha isiliye Allah ne hamare iftaari ka bhi intejaam kar diya.