Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, badhiya honge.
Subah savere halke halke suraj ugta hai, thandi hawaein chalti hai, charon taraf khamosi dikhti hai bas sunai deti hai panchiyon ki chahechahat......
Ramdaan hone ke karan subah saheri karne ke uth rahe hai. Jaise hi saara kaam, namaj ho jati hai tab bahar se dheere dheere panchiyon ki awaj sunai dene lagti hai. Jaisa jaisa samay gujarta hai ye awajein badh jati hai. Panchiyan idhar udhar dikhai dene lagte hai, ye saara najara dekh dil ko badi hi khushi mehsoos hoti hai. Jab bhi yeh dekhti hu mujhe mere ghar ki yaad aane lagti hai, ham jab chat per jakar baith te thy tab hamein ye najara dikhai deta tha, khula aasmaan, thandi hawaien aur panchi.
Ab to mas aisa mehsoos hota hai ke do kamre me kaid hokar re chuke hai. Itna bada aasmaan bhi ab chota hi lagta hai. Na hi dher saare tare dikhte hain.
Sabse badi baat to yeh hei na Ramdaan ka chaand najar aata hai na hi Eid ka chaand.......
Bas calendar me hi dekh kar her tyohaar mana rahe hain......