Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, majeme honge.
Roje me rahene ke karan banaya hua khana nhi chakh sakte, isiliye maine soncha kal jo banana hai kyu na wo abhi banakar rakh lo. Sabji, daal jaisi cheejein bina chake banaleti hu kyunki ye sab ham har din banate hain to aadat ho jati hai, kya aur kitna daalna hai iska bhi andaja aa jata hai, per meetha banana hai to mujhe andaza nhi aata.
Mere paas freeze me teen din ka doodh jama ho chuka tha bas mai ek cup chai ke liye hi doodh ka upyog kar rahi thi baaki poora bach raha hai. Na dahi bana rahi hu, na hi bacchon ki peene ke liye de rahi hu, samay hi nhi mil pa raha tha in sabke liye. Maine soncha is doodh se custard hi bana leti hu doodh ka yahi accha upyog ho jayega. Bacche bhi khush hojayenge.
Kal roze me nahi chakh paungi isiliye maine abhi custard bana liya hai. Thanda honepar freeze me rakh dungi. Jab khana hai tab usme phal kaat kar mila dungi.