Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, majeme honge.
Aap sonch rahe hai yeh mai kya bool rahi hu.
Yeh kya baat hui?
Ye pagal to nhi hui?
Ji mai pagal nhi hui haa par shayad ab tak pagal thi aur ab akal aayi hai, ha yahi sahi hai abhi akal aayi hai. Abhi tak to akal par taale pade hue thy ya phir ye bhi keh sakte hai patthar pade hue thy.
Jaise kitaab ke panne palat te hai tab saari kahani pata chalti jati hai usi tarah logon ke chaheron ke mukhwate utarte jaa rahe hain. Ya phir mukhwate thy hi nhi meri hi najron ka dokha tha jo burai me acchai dekh raha tha. Shayad mai television wale duniya ke rang me khood ko dubokar rangeen karne ki koshish kar rahi thi. Ab saare rang berang hai ye dikh raha hai.
Khamosh rahkar chup chap kuch sun lena isme koi kamjori nhi hai balki sabra hota hai. Aur hame is sabra ka sila Allah dene wala hai to phir kyu ham inaam hasil karne ki koshish na kare?
Wo jo inaam dega uski barabari is duniya ka kitna diggaj kyu na ho wo hame nhi de sakta.
Hamari khamoshi ko hamari kamjori jo samajh rahe hai kya pata unhe ke wo khud kite kamjor hai.
Shayad wo kamjor nhi balke wo beakal loog hai jo hamare dushman hote hui bhi Allah se jo inaam milne wala hai usme hame madad kar rahe hain.