zahiri husn-o-jmal pr mt irtao

in blurtindia •  4 years ago 

IMG-20210206-WA0005.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Zahiri sehat-o-quwat, husn-o-jmal pr mt itrao.

Hazrat Abu Huraira R.A rewayt krte he ki Nabi kareem S.A.W ne irshad farmaya ki qyamt ke din ek esa shakhs laya jayega, jo jismani etebar se bada mota hoga, or bade martabe wala hoga, lekin Allah taala ke nazdeek uska wazan ek machhr ke pr ke brabr bhi nhi hoga.

Ye sari dunyawi azmat or ye jismani sehat or jismani husn-o-jmal ye sb dhra reh gya, kyu?

Isliye ki is shakhs ne bawajud sehat-o-taqat ke Allah taala ko razi krne wala kam nhi kya, isilye Allah taala ke nazdeek ek machhr ke pr ke brabr bhi uski haisiyat nhi hogi.

Aaj kl log sirf zahiri husn-o-jmal dekhte he, khas kr ladkiyo me, rishta krna hoto sbse pehle larki ki khubsurt dekhte he, uski deen dari or ekhlaq, uska husn-e-sirat nhi dekhte.

Agr surat nhi hota to rishta bhi nhi krte, jbki sbki maloom he ye husn-o-jmal bs duniya tk hi he, jb tk insan he jwan tb tk, fir bhi log isse ghafil rehte he.

Is hadees ke byan krne ka ye maqsad he ki zahiri husn-o-jmal pr apni sehat pr, apni quwat (taqat) pr, apne martabe pr, apne maal-o-daulat pr kbhi mt itrao.

Ho skta he ki ye maal-o-daulat, ye martba, ye sehat-o-quwat Allah taala ke nazdeek machhr ke pr se bhi zada be hakikat ho.

Asal cheez dekhne ki ye he ki aamal kese he, or Allah taala ke raste pr chl rhe ho ya nhi.

Allah taala hme zahiri dikhawe se bchaye.

Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!
Sort Order:  

Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.