Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Ye kam Allah ki raza ke liye krlo.
Jb is duniya me tabiyat ke khilaf bate pesh aati he, to fir tabiyat ke khilaf kam krne kr do tareeqe he.
Ek tareeqa to ye he ki tabiyat ke khilaf kam bhi kro, sadme bhi uthao, takleefe bhi brdasht kro, lekin in takleefo ke badle me aakhirat me koi natija na nikle, is gham se aakhirat me koi fayeda na ho, Allah taala us se razi na ho.
Dusra tareeqa ye he ki insan apni tabiyat ke khilaf kam kre, nafas ke taqaze ko kuchle, taki aakhirat sanwr jaye.
Or Allah taala usse razi hojaye.
Ambiya A.S ki dawat ye he ki is duniya me tabiyat ke khilaf to hona hi he.
Tumhara dil chahe, ya na chahe, lekin ek martaba ye ahad krlo ki tabiyat ke khilaf vo kam krenge jis se Allah taala razi hoga.
Masln nmaz ka waqt hogya.
Masjid se pukar aa rhi he, lekin jane ko dil nhi chah rha he.
Or susti ho rhi he, to ab ek rasta ye he ki dil ke chahne pr aml krliya, or bistr pr lete rhe, or itne me drwaze pr dastak huyi, maloom hua ki drwaze pr ek esa aadmi agya he jis ke liye niklna zruri he.
Ab iski khatir bistr chhora, or bahr nikl gye, natija ye nikla ki tabiyat ke khilaf bhi hua.
Khawahish ke khilaf bhi hua, or aram bhi nhi mila, takleef ju ki tu rhi.
Lehaza ye soche ki takleef se bchna to mere qabze or qudrat me nhi he, is liye kyu na me Allah ko razi krne ke liye takleef brdasht krlu.
Ye soch kr us waqt uth kr nmaz ke liye chla jaye.
Shabba khair.
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.