Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Teen lalchi shakhs.
Teen aadmi safar kr rhe the, raste me un ko sone ki inte mili.
Teeno ne khushi se ek ek int le li fir aage brhe, un ke pas khane ka saman nhi tha.
Jb bhuk se be chain huye to aaps me kaha ki kahi se khane ka saman mangwana chahiye.
Un me ka ek shakhs bola ki ap dono aadmi yhi thehr jaye, me abhi samne wale gaon se khana kharid kr lata hu.
Dono ne ye bat manzur krli or vhi ruk gye.
Fir teesra aadmi khana lene ke liye gaon ki trf chl pra raste me us ki niyat bdl gyi.
Us ne apne mn me socha ki me agr khane me zahar mila du to bada achha hoga, kyuki jb mere dono sathi zahareele khane ko khayenge to mr jayenge, or inte sb meri ho jayengi.
Ye soch kr usne khana khareeda or us me zahar mila diya.
Fir vhi zehreela khana sath sath le kr aane lga, idhr uske jane ke bad uske dono sathiyo ne ye bat tai krli ki hm dono mil kr usko mar dale, taki uske hisse ki int hm logo ki ho jaye.
Jb vo teesra shakhs khana le kr pahuncha to achank ye dono us pr tut pre, or usko jaan se mar dala.
Bhuke to pehle hi se the, jb qtl se farig ho kr us khane ko khaya to fir ye dono bhi mr gye, or sone ki inte vhi dhari reh gyi.
Lalch bahut buri bala he, lalch hi ne un teeno ki jaan leli.
Isiliye kbhi dusre ka haq marne ke liye ap kbhi lalch mt krna.
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.