Asslamu alaikum wa Rahmatulah.
Sahaba keram hi uss layak the.
Kbhi kbhi hmare dilo me ye ehkamana khyal aata he ki kaash! hm bhi Huzur Aqdas S.A.W ke zmane ne paida huye hote, or us zmane ki brkat hasil krte.
Are ye to Allah taala ki hikmat he, or vhi apni hikmat se faisla farmate he, or apni hikmat se hme is daur me paida farmaya, agr hm is daur me paida ho jate to khuda jane kis asfalu safleen me hote.
Allah taala bchaye, Aameen.
Is liye ki vha iman ka mamla itna nazuk tha ki zra si der me insan idhr se udhr ho jata tha.
Sahaba keram ne Huzur S.A.W ke sath jis jan nesari ka mamla farmaya, vo unhi ka zrf tha.
Or usi ke nateeje me vi is drje tk vo pahunche. agr hm jesa aaram pasnd or aafiyat pasnd aadmi us daur me hota to khuda jane kya hashr bnta.
Ye to Allah taala ka bada fazal o krm he ki us ne hme is anjam se bchaya.
Or ese daur me paida farmaya jis me hmare liye bahut si asaniya he.
Aaj ek hadees ke bare me hm ye keh dete he ki ye hadees zanni he.
Or zanni hone ki wajh se agr koi inkar krdega to kafir na hoga.
Sirf gunah gar hoga.
Lekin sahaba keram ka mamla to ye tha ki agr koi shakhs Huzur S.A.W ki zuban se koi hukm sunne ke bad inkar krde ki me nhi krta, forn kafir ho jata, Allah taala bchaye.
Aameen.
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.