Qasam ki haqiqat.

in blurtindia •  4 years ago 

IMG-20210219-WA0004.jpg
Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Banawati sach or jhuti qasam.

Kbhi kbhi aap qasame kha kha kr ye zahir kya krte ho ki jo kuch keh rhe ho sach he.

Aksar log ese mauqe pr Allah ki qasam, Quran ki qasam, iman se, kaha krte he.

Ye bate thik nhi he, esi qasme khana bahut buri bat he.

Agr aap waqyi sach keh rhe ho to qasam ki kya zarurat he?

Agr jhut bol rhe ho to qasam kha kr aap sunne walo ko dhoka de rhe ho.

Or Allah taala ke nam ki be adabi kr rhe ho, agr koi aap pr qasam ke liye zor de or bat sachi ho, to qasam kha skte ho.

Vrna bila zarurat qasam hargiz mt khao, jhuti qasam khana bahut bada gunah he.

Rasool Allah S.A.W ne farmaya! jhuti qasam khana esa bada gunah he jesa shirk krna.

Ye bhi yad rkho ki Allah ke siwa kisi or ki qasam khana.

Jese msln Quran ki qasam, baap ki qasam, maa ki qasam, tumhare sr ki qasam wagerah.

Ye qasame na jayez he, or qasam he to sirf Allah ki qasam khao.

Mgr jhuti qasam hargiz mt khana.

Allah hme in bato pr aml krne ki taufeek ata farmaye.

Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!
Sort Order:  

Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.