Asslamau alaikum wa Rahmatullah.
Aaj me 26th January (Republic day) ke bare me bat krungi.
Mujhe kl hi likhna tha pr network problem ki wajh se nhi likh payi, isiliye aaj likh rhi hu.
26th January ka din hmare mulk Hindustan ki tarikh me bahut zada ehmiyat rkhta he , kyuki yahi vo din he jis din hmare mulk ka aayin nafiz hua tha.
Is se pehle hmara mulk me 15 August ko 1947 iswi me angrezo ki ghulami se Azadi mili.
Agr chah 15 August 1947 iswi ko Hindustan azad hogya , lekin 26 January 1950 iswi me hamara mulk ek azad jamhuri mulk bn gya.
Beshak...! isi din hi ke liye Gandhi ji , Maulana Azad , Jawaharlal Nehru , Khan Abdul Gaffar Khan , Neta Ji Subhash Chandra Bose , jese azeem rehmunao ki qiyadat me hzaron lakhon hindustani awam ne bila imteyaz mazhab o millat azadi kr prhchm (jhande) ko buland kya , or apni bemisal qurbaniyo or ittehad o ittefaq se angrezo se takkr li , or unhe Hindustan chorne pr majbur kr dya.
Isiliye aaj ka din hamari Hindustan ki tarikh me bohot ehmyat rkhta he.
Happy republic day ap sabko
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.