Gunah ka taana dene wale ka waeed

in blurtindia •  4 years ago 

3ca874e17127ada18eaca31088c809fb.jpg

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Gunah ka taana dene wale ka waeed.

Allah taala ka ehsan he ki usne dusre logo se kaha: ki jo bnda apne gunah se tauba krle use tum gunah ka taana na dena, ye shariyat ka msla he.

Waeed farma di ki agr ek bnda waqyi gunahgar tha, ab schi pakki tauba kr chuka he.

Lehaza agr tum me se koi bnda usko is gunah ka taana dega to us ko us wqt tk maut na aayegi jb tk khud us gunah me mullwis na hojayega.

Subhan Allah, uski izzat ki esi hifazat ki, ki logo ki zubano ko bnd krdya ki tum me se kisi ki jurat nhi ki guzre huye gunah ki aar dilaye, or use taana de.

Kyuki agr vo pehle ghafil tha mgr ab tauba kr chuka he, ya sulah kr chuka he, mere dr pr aa chuka he, or jo shahnshah ke dr pr aajaye uski khataye muaf krdi jati he.

Subhan Allah, shariyat ne kesa ajeeb taswwr dya ki agr koi gunahgar hoto us gunahgar se nafrat nhi krni chahiye, blki gunaho se nafrat krni chahiye.

Jese bimar se nafrat nhi ki jati bimari se nafrat ki jati he.

Mumkin he ki vo schi tauba krle or Allah taala uske gunaho ko uski nekiyon me tabdeel farma de.

Allah taala hm sbko ese gunaho se bchahye.

Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!