Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Dil ek aayena he.
Is liye ki Allah taala ne insan ke dil ko ek aayena bnaya he, jo tasweer insan ke samne se guzrti he, uska aks dil pr jm jata he.
Lehaza jb insan ke talluqat zada honge to us me fir achhe log bhi aayenge, or bure bhi aayenge.
Or jb bure kamo me masruf log mulaqat krenge to unke kamo ka aks dil pr prega, or uska dil khrab hoga.
Is liye farmaya ki dusre logo se bila zrurt zada na milo, dusre logo se talluqat jitne km honge, utna hi Allah taala se talluq me izafa hoga.
Moulana Rumi R.A farmate he ki ye talluqat Allah taala ke sath talluq qaym krne me hijab or parde bn jate he, duniya ki jitni mohabbate brhengi ki usse bhi mohabbat he, usse bhi mohabbat he utna hi Allah taala se talluq me kmi aayegi.
Haan agr huquq al ibad he vo beshak ada krne he, un me koi kotahi nhi krni he, lekin bila wajah talluqat nhi brhana chahiye.
Bahar hal mujahedat isiliye kraye jate he, taki hmara nafas qabu me aajaye.
Or na jayez kamo pr uksana chor de, is liye ye mujahedat hr insan ko krne chahiye.
Or behtr yhi he ki ye mujahedat kisi rehnumayi nigrani me kre, khud apni mrzi or apne faisle se na kre.
Allah taala hm sbko is pr aml krne ki taufiq ata farmaye.
Aameen.
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.