Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Aulad ki tarbiyat maa ke zimma he.
Aurat sirf ghr ki nigahban nhi he.
Blki uski aulad ki bhi nigahban he.
Aulad ki parwarish, aulad ki khidmat, aulad ki tarbiyat, or uski taaleem ki zimmdari Huzur Aqdas S.A.W ne aurat pr dali he.
Agr aulad ki tarbiyat shi nhi ho rhi he.
Unke andr islami aadab nhi aa rhe he, to uske bare me pehle aurat se swal hoga, or bad me mrd se hoga.
Is liye ki un cheezo ki pehli zimmadari aurat ki he.
Lehaza aurat se swal hoga ki tumhari god me plne wale bcho me deen-o-imaan kyu paida nhi hua?
Unke dilo me islami aadab kyu paida nhi huye?
Is liye Huzur Aqdas S.A.W ne farmaya ki aurat se shohr ke ghr or uski aulad ke bare me swal hoga.
Or hr shakhs se uski zer riaya cheezo ke bare me swal hoga.
Allah taala apni rehmat se hm sbko in farayez ke smjhne or un pr aml krne ki taufeeq ata farmaye.
Aameen.
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.