Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Holi.
Aaj me Holi ke bare me likhungi.
Holi dosto or rishtedaro ke sath khushiya mnane ke bare me he.
Holi ko rango ke tewhar ki shakl se jana jata he.
Ye Hindustan me sb se khas tewharo me se ek tewhar he.
Log apni preshaniyo ko bhul jate he, bhaiyo or rishtedaro ke sath Holi badi msti ke sath mnate he.
Ye sal me March ke mahine me hindu mazhab me badi khushi ke sath Holi mnayi jati he.
Jo log ye mnate he vo rango ke sath khelte he, or pure sal besbri se Holi ka intezar krte he.
Holi ko rango ka tewhar kaha jata he, kyuki log rango ke sath khelte he, or tewhar ke sare rang pane ke liye unhe ek dusre ke chehre pr lgate he.
Holi ki tarikh ke bare me bat kre to hindu mazhab ka manna he ki Hiranyakashipu nam ka ek shaitan raja tha.
Unka ek beta tha, jis ka nam Parhlad tha, or ek bahan jis ka nam Holika tha.
Esa mana jata he ki shaitan ke pas bhagwan Brahma ka aashirwad tha.
Is aashirwad ka matalab koi bhi aadmi, janwar ya hathyar use nhi mar skta tha.
Ye aashirwad us ke liye bd dua bn gya tha, or usne apne bete ko nhi bakhsha kyunki vo bahut ghamndi hogya tha.
Usne apni riaya ko bhagwan ki pooja nhi blki apni pooja krne ka hukm deta tha.
Is ke bad log Hiranyakashipu ki pooja krne lge, lekin uske bete ne apne bap ki pooja krne se inkar kr diya, kyuki Parahlad bhgwan Vishnu ke sache bhakt the.
Shaitan raja ne apne bete ki harkat dekh kr apni bahan ke sath Parhalad ko marne ke mansube bnaye.
Us ne Holika ke god me Parhalad ko aag me bethaya, jaha Holika jal gyi, or bhagwan Vishnu ki aashirwad se Parhalad hifazat ke sath aag se nikl aaye.
Tb se logo ne burayi se achhayi ki jeet ki shakl me ye Holi mnana shuru kr diya.
Shukriya..
Congratulations! This post has been upvoted by the @blurtcurator communal account,
You can request a vote every 12 hours from the #getupvote channel in the official Blurt Discord.Don't wait to join ,lots of good stuff happening there.
Upvoted via your post on Noise.Cash
thank you offgridlife