Aakhirat ka qabil-e-rashk safat

in blurtindia •  4 years ago 

IMG-20201227-WA0000.jpg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Qabil-e-rashk safar aakhirat.

Ustaz ul muhaddisin hazrat Abdullah bin Mubarak R.A ke pas hadees pak prhne wale hzaron talba (students) hote the.

Mukabbir jese nmaz me aage takbeer kehte he, isi trh log un se hadees pak sun kr aagr nakl krte the.

Ek mjma me un mukbbrin ki tadad 1100 thi.

Majma ka andaza ap khud lga le.

Ek majma me dwaton ko gina gya to us majme me chalis hzar 40000 dwate thi.

Itne bade me majme vo hadees pak ka drs dya krte the.

Jb unke aakhri lamhat aaye to bistr pr lete huye the or kefiyat bdl rhi thi.

Isi bich me shagirdo (students) se farmaya ki mujhe utha kr zameen pr leta do.

Shagird hairan the ki ab kya kre.

Us wqt frsh pkke ke nhi hote the, sirf mitti hoti thi.

Fir farmaya, mujhe uthao or zameen pr leta do.

Shagirdo ne hukm ki tamil ki or mitti pr leta dya.

Unho ne dekha ki wqt ke itne bade shekh apna rukhsar ( gal) ko zameen pr mlne lge, or keh rhe the ki ae Allah! tu Abdullah ke burhape pr rhm farma.

Mere dosto! jin mi zindagi hadees pak ki khidmat me guzri, jb vo apne aakhri wqt me Allah ke huzur me is trh aajzi krte the to hme bhi aajzi wa inkesari krni chahiye.

Kyuki hmare pas to aml bhi koi nhi he.

Hm waqyi qabil e rhm he, Allah taala hmare hal pr raham farmaye.

Aameen.

Shukriya..

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!