Mahatma Gandhi , hamare desh ke rashtra pita yani father of nation he. mahatma gandhi ka janam 2 october 1869 me hua tha.
unka asli naam mohandas karamchand gandhi tha. vo bohot hi ache insan the or hinsa ke sakht khilaf the.
Balki ham ye gandhi ji ko ahinsa ka prateek bhi kehte he kyuki vo ahinsa ke zariye apne sabhi kam kiya karte the.
Unhe desh bapu ke nam se bhi pukarta he , bapu matlab hota he pita ya angrezi me father or jesa ki mene bataya ki vo rashtra pita the to islye unhe bapu bhi kaha jata he.
vo porbandar me rehte the jo kathiawar me he.
gandhi ji ne desh ke liye or uske azadi ke liye bht mehnat ki he. log gandhi ji ko apna leader mante the or unhe follow karte the.
desh ki azadi ke liye unhone civil disobedience movement bhi shuru kiya jiska maksad britishers ki banaye kanoon ko na manna tha.
Iske ilava satyagraha ke liye bhi gandhi ji pure dunya bhar me mashoor the.
yani ki sach ka daman thame rehne wale or ahinsa se dur rehkar apne kam krne wale pakke insan the vo.
gandhi ji ko sab pyar karte he or jab me or mere dost chote the to hame gandhi ji ke teen bandar ke bare me parhaya gya. desh me har bacha in teen bandaro ko ache se janta he.
teen bandar hame teen cheeze sikhate he:
bura mat dekho , bura mat suno or bura mat kaho.
Gandhi ji ki mrityu 30 January 1948 me hui or inhe nathuram godse ne mara tha.
unke maut ki wajah bilkul saf thi kyuki unhe goli mari gyi thi jisse unki mrityu hui.
Ise mrityu na kehkar hatya kaha jana chahye kyuki gandhi ji ko goli se mara gya tha.
ap sab ka din shubh ho , yaha parhne ke liye bht bht thank you.