Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge.
Mere beti ke school me bacchon ko paper se kuch banakar laneko kaha gaya. Hamne youtube ki sahayata se yeh sundar sa phool banaya jise aap sab ke saath share kar rahi hoon.
Hamne bahot sare videos dekhe phir yeh sundar aur aasan sa phool banane ka nirnay liya.Jo bada sundar aur aakarshak bana hai.
Is phool ko banane ke liye upyukta samagri:-
Teen rang ke kagaj
Fevicol
Kainchi
Sabse pahele hame a4 aakar ke kagaj ko do hisson me aayatakar kant lena hai. Use chota chota mood lekar kono se tikoni kaat lena hai. Phir un hisson ko jood lena hai.
Hare rang ke kagaj ki sahayta se phool ki dandi aur patte banane hai. Banai hui dandi ko patte jood lena hai. Aakhri me dandi ko phool se jood lena hai. Bas tayyar hai paper se banaya hua phool.
That is pretty cool, the video included :-)