Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, majeme honge.
Ramdaan ka mahina chal raha hai to maine soncha kuch jaan pehchaan ke logon ke liye khana banakar bheju. Aaj maine keema somosa, kabuli chana ki chaat, veg roll iftaar ke liye banaye aur khane me tahari aur rayta banaya.
Sab cheejen banali per pata nhi jin logon ko banakar bhijwai unhe pasand aayi ya nhi. Mai khana banane me jyada mahir to nhi hu per accha bana leti hu. Mujhe thoda khana acchese bana lene aata hai per jab jyada banana padta hai tan saman kitna daalna hai iska andaza nhi aata, dar dar kar banaleti hu tab mai.
Aaj tahari jyada banai per acchi bani. InshaAllah jinke liye banai unhe bhi pasand aayi hogi.