Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Ummeed karti hu aap sab theek honge.
Aaj ka mausam kuch ajeeb tha saara din dahektu hui dhoop thi, jiski wajah se bahut garmi ho rahi thi.
Shaam hote hote mousam badalne. Vaatavaran me thandik mahesoos hone lagi. Chaaro oar ped jhulte hue najar aa rahe thy maano wo hawa ke sangeet per mantramughdh hokar nratya karne lage ho.
Achanak baadlo ke garajne ki awaj aane lagi, bijliyan kadakne lagi. Dhool ki tarha baadal aur taashe ki tarah bijliyon ki awaz aa rahi thi, jaise aisa lag raha tha ke dono darawane awaz nikalne ki jugalbandi kar rahe ho.
Raat hote hote barish kam ho gai. Bada prasanna vaatavaran ban gaya. Garmi dum dabakar bhaag gai.
Jab itna accha mousam banta hai to kuch na kuch khane ka man jarur karta hai. Phir kya maine apne rasoi ghar ki oar doud lagai. Chaaron oar dekha ki kya samagri hai, jiske jugaad se pait pooja ki ja sake.
Mujhe ande aur paav rakhe hue najar aaye. Maine soncha ki anda paav bana liya jaye.
Sabse pahele hame paav ko aadhe aadhe bhaag me cut kar ke rakh lena hai. Apni bhook ke mutabik do ya teen ando ka chunaav karna hai. Ando ko phoodkar usme barik kata pyaj, barik kati shimla mirch, barik kata hara dhaniya, laal mirch powder, haldi powder, swadanusaar namak daalna hai. Saari cheejen acchese ande ke saath phent leni hai.
Ek tawa lekar use garm hone ke liye rakh dena hai. Jaise hi tawa garm ho usper tail daalna hai. Us tail per phenta hua anda daal lena hai aur use chaaro oar golakar me phaila lena hai.
Ande ke upar cut kiye hue paav rakh dena hai, phir usko palat lena hai.
Bas bangaya anda paav.farma garm chai ke saath khana hai.
Bohot khoob kaha aap ne. Mousam hamare mood par bohot prabhav karta he or sath hi sath hamre per par bhi. Jaese barish hame kuch khane par vichalit karti he usi tarha garmi me har chiz hatta k khane se bhi man ugta sa jata he.
Aap ne jis tarha badalon k garajne k vatavaran ka vivaran Kiya vo padhne me bada hi mazedar tha.
Thanks madarch. Tumahara comment amulya hai mere liye, padhkar accha laga. Accha lagta koi apna blog ko bariki se padta hai ye dekhkar.
Me sabhi k sare blogs padhti hun. Mujhe bohot acha lagta he alag alag insan k alag alag khyalat ko padhna or inhe samajhna.
Khas kar apke blogs padhne me mujhe bada maza ata he jis tarha ap apne khayalat Hindi me bohot khubi se pesh karti he. 👍