Aaj ke din ki shuruwat

in blurtconnect •  4 months ago 

Hi blurt parivaar,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, mast honge.

Aap san ne tasveer dekh kar andaza to laga hi liya hoga ke mai kya kar rahi hu, chalo kisiko nhi samjha hoto bata deti hu ke mai makkhan bana rahi hu. Mai chaar -paanch din se sonch rahi thi ke makkhan banao per kuch na kuch kaam nikal aa raha tha. Maine aaj sonch liya ke subah subah agar banalo to ban jayega warna dopaher ke baad din kidhar gujar raha hai pata bhi nhi chal raha hai.

Bacchon ke pariksha ki tayyari karana, unhe QURAAN padhane ke liye bhejna,arbi ka sabak yaad dilana isme bahot samay vyatit ho raha hai. Isliye maine subah ka nashta banaker hi makkhan banane ka tay kiya.

Mere ghar me chawl ke saath ghee jaruri hai uske bagai khana khana asambhav hai. Msine makkhan to bana liya per usse abhi ghee nhi bana rahi hu,kyunki mere paas abhi pahele bana hua ghee bacha hua hai woh jaise hi khatam hoga mai tab is makkhan se ghee bana lungi. Jab taaza ghee banate haina woh jyada majedaar aur khusbudaar lagta hai. Isiliye mai abhi sirf makkhan banakar rakh rahi hu.

Abhi Ramzaan aane wale hai isliye tabhi ka tabhi makkhan banakar ghee banane me kafi samay chala jata hai. Abhi mai Ramzaan ki tayaari shuru kar rahi hu . Aapsabke saath bhi meri Ramzaan ki tayaari saajha karungi.
20240229_100009.jpg

20240229_100028.jpg

20240229_100040.jpg

20240229_100044.jpg

20240229_100157.jpg

Uploading image #NaN...

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!