Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge,badhiya honge, mast honge, majeme honge.
Mai kuch deeno se sonch rahi thi rasoi ghar ko safai kar lo, per phir soncha abhi Ramzaan aane wale hain to uske teen char din pahele kar lo isliye nhi kar rahi thi. Per mere dimag me jab baat aati hai jab tak mai wo nhi karti tab tak mujhe bechaini hoti hai, to phir mai lag gai safai karne me.
Naya naya saman aata hai aur purane wala piche waise hi pada rehta hai. Peeche pade saman ko maine acche se dhokar dhoop m rakh diya taaki wo acchese sookh jaye. Chite chote dibbon ko sukhakar ek bade dibbe me rakh diy jo jarurat ke nhi hai. Per phenka nhi kyunki jab jarurat tab nikalkar upyog me li ja sakte hain.
Jin dibbon me anaj, daal aadi.. jaise cheejein thi un dibbon ko bhi khali kar kar acche se dhokar sukha diya aur unme rakhe saman ko bhi dhoop dikhali taaki keede na paida ho. Anaj daal papad sabko thodi der ke liye dhoop me sookhne ke liye rakha.
Maine rasoi ghar ki katte ki neeche bane khzne bhi acche se dhool liye. Jab sab sukh jayega tab saara saman jamadungi.