Nimbu ke chilkon ka powder

in blurtconnect •  13 days ago 

Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, majeme honge.

Mere padosine mere ghar nimbu bhijwaye thy unke khait ke. Mujhe aur mere pati ko doctor ne mana kiya hai khatti chejein khane ke liye, isliye mai nimbu khareed hi nhi rahi hun.

Itne saare nimbu dekh kar maine soncha gosht ka achaar banalo, kyunki bacche kafi dino se gosht ka acchar yaad kar rahe thy. Jab bhi kabhi sabji pasand nhi aati tab bacche parathy, khichdi ya chawal ke saath achaar shouk se khate hain. Maine gosht ka achaar banaya ab us nimbu ke chilkon ka kuch upyog karenge aisa soncha. Maine chilkon ko dhoop me sukha kar use hamamdaste me thoda koot liya . Thida barik hone par usd mixer me mahim pees liya. Bane hue powder ko kaanch ke barni me rakha. Abhi mujhe usme aur kuch milana hai jab wo milaungi tab wo powder tayyar ho jayega.
Mai jab poora banalungi tab uska blog aap sabse saajha karungi.
20250206_110231.jpg

20250206_110235.jpg

20250206_110254.jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!