Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, majeme honge.
Ramdaan kareem ka mubarak maheena chal raha hai. Ramdaan me keema samosa bahot pasand kiya jaata hai. Mere bacchon aur pati ka bhi mann ho raha tha keema samosa khane ka. Maine soncha jab samay milega tab mai banaungi.
Aaj mujhe samay mila to maine keema samosa aur keema cutlet banaye. Bacchon ne sharbat banaya, pati ne aate samay iftaar ke liye mirch aur pyaz ke pakode aur Ananas ka juice laye.
Hamne sabne iftaar se pahele dher sari dua ki phir iftaar kiya.