Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge,badhiya honge, mast honge, majeme honge.
Mere ghar ki khidki me chidiya ne ghonsala banaya hai. Ghonsala hone ke karan mai ghar ki khidki band nhi kar pa rahi hu.ek ek kadi, tinka, khachra jama kar ke chidiya ne ghonsala banaya.
Jabse chidiya tinka jama kar rahi thi tabse mai aur mere bacche har din aaj kitna ghonsala bana yeh dekhte rehty thy. Mere bacche bade utsavi thy chidiya aur uske ghonsale ko lekar. Ab to ghonsala poora ban gaya hai aur usme chidiya reh rahi hai.
Subah ke samay chidiya ki itni awaz aati hai ke aisa lagta hai maano chidiya ghar me hi hamare saath reh rahi hai.
Maine chidiya aur uske ghonsale ki kuch tasvereein li hai jo ki mai aap sabke saath saaza kar rahi hu.
Telegram and Whatsapp