Hi blurt parivaar,
Kaise hai aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge, badhiya honge, mast honge, majeme honge.
Maine jal wale blog me aap sabse share kiya tha ke maine nimbu je chilkon ka powder banaya. Chaliye aaj aage badhte hai aur dekhte hain isme aur kya milaya.
Maine chawal,santare ke chilke aur daal ko acche se dhokar use sukha liya. Saari cheejein acchese sookh jane ke baad usko mixer ki sahayata se pees liya. Peece hue powder me thoda chane ka aata aur thoda jawar ka aata milaya. Insabko acche se milakar ek saaf dibbe me bhar kar rakh diya.
Ab iska uyog mai chahere per lagane ko karne wali hu dekhte hai isse kuch fayda hota hai ya nhi.
Chawal dardare rehne se yah scrub ki tarah bhi kaam kar raha hai. Maine idme abhi nimbu ki chilkon ka powder nhi milaya. Mujhe samjh nhi aaraha hai ke milao ya nhi. Mai is baare me you tube per kuch pata chalta hai kya dekhti hu.