Halloween 🎃

in blurtbooster •  last year 

Hi blurt friends,
Kaise ho aap sab,
Aasha karti hu sab theek honge.

HALLOWEEN 🎃 👻

Hamare bharat desh me jaise Diwali,Navratri,Ramzaan jaise bahot saare tyohaar ham manate hai. Usi prakaar Halloween bhi ek tyohar hai. Yeh tyohaar yoropiya desho me manaya jata hai.

Is tyohaar ki shuruwaat scotland aur Iyerland se hui thi. Halloween 31 october ko manaya jata hai.

Isai samudaay ke log Halloween 🎃 manate hai.
Aaiye jante hai is tyohaar ke baare me:-
Is tyohaar ke din log bhuto jaise parivesh dharan karte hai. Apne doston aur parivaar janoke saath milkar halloween ke din per yeh log party 🥳 manate hai. Is party me aane wale pratyek jan bhooton wali weshbhusha dharan ker aate hai.

Ab aap sonch rahe honge ke aisa kyu karte hai yeh log chaliye jaante hai iske peeche ka itihaas.
In logon ka maanna yeh hai ki shaitaan, bhoot, chudail jaisi weshbhusha dharan karne se inke purwajon ke aatmaon ko shanti milti hai.
Halloween ko 'aatmaon ka din' bhi kehkar sambodhit kiya jata hai.

Waisa mujhe is tyohaar ke baare me 2 saal pahele hi pata chala hai. Mere bacchon ne t.v. per iske videos lagaye thy tab maine unse poocha to unhone bataya ke ye Halloween 🎃 hai. Uske Kuch din baad hi mere bhai ne mujhe kuch pic send kiye thy is tyohaar ke.

Mere mobile per ye pic dekhte hi mere bacchon ne unke mamu ko bade utsaav se tyohaar ke baare me baat ki woh to sunke dang reh gaye mujhse pochne lage inko kaisa pata chala is tyohaar ke baare me. Maine ka t.v. me dekha hai unhone.
Iske baad me maine yeh saari jaa
IMG-20231021-WA0067.jpg

Screenshot_20231027_014418_Gallery.jpg

Screenshot_20231027_014427_Gallery.jpg

Screenshot_20231027_014437_Gallery.jpg
nkari prapt ki.

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!