Ham me se har kisiko kuch na kuch shauk hota hai.
Kisiko poudhe lagane ka, kisiko kheti karne ka, kisiko khana banane ka,kisi ko kisi pasandida vastu ko sangrahit karne ka.
Bharat me kai shatko pahele sikko ke chalan ki shuruwat hui. Prarambh me Bharat me tambe aur chandi se sikke banane lage.
Baadme kai varsho tak sone aur anya dhatu se bane sikke najar aane lage. Chalan ke liye Bharat me koudiyon ka bhi upyog kiya jata tha.
Bharat me jo sikke chalte unke naam char aane, aath aane, barah aane, chawanni, aek rupya, do rupya, panch rupaye is prakar ke hote thy.
Hammese kai logo ko sikko ka sangrah karne ka shauk hota hai.
Aaj mai aapke saamne lagbhag paintees desho ke siike aapke saath share karti hu.