That's the question everyone has been asking me!

in blurt •  2 years ago 

Snapchat-1287605057.jpg

That's the question everyone has been asking me!

“Tumhe kab realise hua ki you’ve moved on?”

“Jab mujhe realise hua ki jinn toote sheesho ke beech mai pyaar dhundh rahi thi, waha par pyaar ke alawa sab kuch hai.”

“Jaise ki?”

“Guilt, Regret, Frustration, Darr, or care. Or jab Mene khudko unse azaad karlia, toh kuch waqt ke liye sab apne aap sulajh gaya.”

“Kaise kiya azaad?”

“Yeh samjh kar. Ki Galati uski bhi hai, Galati Meri bhi. Par hum dono ke saath saath galat humara waqt bhi tha. Usne jo kia uss waqt, vo uske waqt ke hisaab se sahi tha. Or ab mujhe usse ya khudse koi shikayat nahi hai.”

“Umeed toh hogi, thodi bahaut?”

“Vo uss din kho di, jab yeh samjh aagya ki dafnaye hue insaan ki tarah ki dafnaye hue rishte ko hum kitni bhi koshish krle, lekin zinda nahi karskte.”

“Par itna negative kyu sochna? Hoskta hai na tum dono phir milo?”

“Pata nahi. Bas yehi umeed karti hu, ki agar iss janam mile bhi toh, humare rishte ka ek naya janam hojae. Blank slate, new beginnings. Kyunki humara rishta toota tha, lekin un hisso ko jordne ki koshish mein humne usse maar bhi diya.”

“Toh shayad agar tum usse uss waqt jordne ki koshish karna chord deti; toh umeed hoti?”

“Shayad. Par kehrahi hu na. Hum dono ke saath saath galat humara waqt bhi tha, or waqt galat tabhi hota hai, jab qismat humhe humare sahi makaam tak lejane ka faisla kar leti hai.”

“Itna asaan tha usse maaf karna? Usse bhulana?”

“Sach kahu toh nahi tha. Lekin jo na raha ab meri duniya m, usse azaad karna hi toh zindagi hai. Gile agar un se ho jo sath hai, tab hi toh maafi or maaf karne ka koi matlab hai.”

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE BLURT!